Posts

Showing posts from September, 2019

Ek tha Bhalu 2

Bhalu ki aankh khuli, Pet main chubh rhi thi bhukh ki sui, Voh pada tha kinare pe, Ek dweep, aur samandar ke sahare pe, Himmat karke voh khada hua, Aas paas dekha, suraj tha chada hua, Uski naav ka koi nishaan nhi tha, Panchiyan ka jhund bhi kahin nikal chuka tha. Dweep main dhundha, Kahin se koi aalu mil jaye, usne tatola, Thak har ke baitha voh ped ke sahare, Ek ajeeb sa pathar pada tha jo kar rha tha ishare, Bhalu ne pathar ko chua, Aur jhat se khul gaya ped ka tana, Voh tha ek khufiya raasta, Jispe chala ja rha tha bhalu gulatiyan khaata. Voh jakar gira ek gufa main, Saamne tha ek saadhu, saadhna main Usey dekh jhat se khada ho gaya voh bhalu, Saadhu ne aankh kholi, aur ho gaya chalu. Tum jis manzil ki talash kar rhe ho, voh chalne se milegi nhi, Jis patang ke sahare tum udd rhe ho, uski dor tumhare haath main nhi, Apni bhukh ko istemal Karo,  Jo chaiye usey ugao, Bhalu bola mujhe ugana nhi aata, Kya aap mujhey sikhayenge?

Ek Tha Bhalu

Ek thaa bhalu, Khaata thaa sirf aalu Kisi ki parwah na karta, Na koi dost,na koi ghar thaa Achanak aalu pad gaye bimaar, Gayab ho gaye saare hazar ke hazar Bhukha besahara firta raha voh bechara, Par kahin bhi na mila koi sahara Thak haar kar baitha voh ek ped ke niche, Sir pe kuch laga aur gira uske piche Dekha toh tha voh ek golmatol aalu, Usey dekh pagla gaya voh bhalu Aalu ki taraf haath badaya, Achanak ek panchi udta aaya Le gaya voh us aalu ko, Dekhta reh gaya bhalu us zabaz ko. Upar dekha toh bhul gaya voh sitare, Dakh liya tha suraj the voh itne saare. Itne panchi usne kabhi na dekhe the, Sabke paas the aalu aur kaafi bade the Usne socha inke saath chala toh shayad kuch mil jaye, Murjhaye hue armaan shayad fir se khil jaye. Bas nikal pada voh unke saath udne ke liye, Par Paron mein jaan nahi thi  chalne ke liye. Sir par gira fir ek aalu, Is baar jhat se kha gaya usko bhalu. Aalu ki bunda-bandi ke sahare chalta gaya, Barsaa