Ek tha Bhalu 2

Bhalu ki aankh khuli,
Pet main chubh rhi thi bhukh ki sui,
Voh pada tha kinare pe,
Ek dweep, aur samandar ke sahare pe,

Himmat karke voh khada hua,
Aas paas dekha, suraj tha chada hua,
Uski naav ka koi nishaan nhi tha,
Panchiyan ka jhund bhi kahin nikal chuka tha.

Dweep main dhundha,
Kahin se koi aalu mil jaye, usne tatola,
Thak har ke baitha voh ped ke sahare,
Ek ajeeb sa pathar pada tha jo kar rha tha ishare,

Bhalu ne pathar ko chua,
Aur jhat se khul gaya ped ka tana,
Voh tha ek khufiya raasta,
Jispe chala ja rha tha bhalu gulatiyan khaata.

Voh jakar gira ek gufa main,
Saamne tha ek saadhu, saadhna main
Usey dekh jhat se khada ho gaya voh bhalu,
Saadhu ne aankh kholi, aur ho gaya chalu.

Tum jis manzil ki talash kar rhe ho, voh chalne se milegi nhi,
Jis patang ke sahare tum udd rhe ho, uski dor tumhare haath main nhi,
Apni bhukh ko istemal Karo, 
Jo chaiye usey ugao,

Bhalu bola mujhe ugana nhi aata,
Kya aap mujhey sikhayenge?
Saadhu bola mujhe sikhana nhi aata,
Par hum tumhe sab dikhayenge.

Bhalu ne saadhu ke sang aalu ugaye,
Fir usne sab bhar pet khaye,
Ab bhalu ko aalu dhundhne ki zarurat nhi thi,

Uske pass hunar, aur aatm nirbharta thi

Comments

Popular posts from this blog

Avtaars (Story of modern Gods) Chapter - 7

Avtaars (Story of modern Gods) Chapter - 1

Avtaars (Story of modern Gods) Chapter - 2