Future | Bhavishya
Taar rahit bijli Aagey chal kar hum log bijli ko bina taaro ke istemaal kar paayenge Har samay mobile network ki tarah bijli ka network bhi rahega, to humein batteriyon ki zarurat he nhi padegi, kyunki lagataar bijli aati rahegi humaare phono mai aur baaki machino mai Bijli ki taare bechne vaali companiyo ka deewala nikal jayega Bijli ke khambe hat jayenge Bandar sadko par chalne lagenge, kyuki unke latakne ke liye bijli ki taare nahi rahegi Kabutaro ko to baithne ki jagah he nhi milegi. Paani ki bharmaar Aagye chal kar humaare paas itni energy hogi ki hum jeetna chahe utna samudri paani ko peene ke paani mai badal paayenge, to humei kabhi paani ki kami he nhi hogi Humaare sheher baarish ke paani ko bohot bhaari maatra mai jama kar paayenge Paani ki kaami na hone se log tuntiyaan khuli he chodne lagenge, to har jagah sochne samajhne vaali tuntiyaa aa jayengi, jo apne aap khud ko zarurat ke hisaab se band aur chalu kar payengi. Genetic Engineering Aagey chalkar hum haathi jitni ba...
Comments
Post a Comment