Future | Bhavishya

 

  1. Taar rahit bijli

    1. Aagey chal kar hum log bijli ko bina taaro ke istemaal kar paayenge

    2. Har samay mobile network ki tarah bijli ka network bhi rahega, to humein batteriyon ki zarurat he nhi padegi, kyunki lagataar bijli aati rahegi humaare phono mai aur baaki machino mai

    3. Bijli ki taare bechne vaali companiyo ka deewala nikal jayega

    4. Bijli ke khambe hat jayenge

    5. Bandar sadko par chalne lagenge, kyuki unke latakne ke liye bijli ki taare nahi rahegi

    6. Kabutaro ko to baithne ki jagah he nhi milegi.

  2. Paani ki bharmaar

    1. Aagye chal kar humaare paas itni energy hogi ki hum jeetna chahe utna samudri paani ko peene ke paani mai badal paayenge, to humei kabhi paani ki kami he nhi hogi

    2. Humaare sheher baarish ke paani ko bohot bhaari maatra mai jama kar paayenge

    3. Paani ki kaami na hone se log tuntiyaan khuli he chodne lagenge, to har jagah sochne samajhne vaali tuntiyaa aa jayengi, jo apne aap khud ko zarurat ke hisaab se band aur chalu kar payengi.

  3. Genetic Engineering

    1. Aagey chalkar hum haathi jitni badi gaayein aur bhes bana paayenge jo 1000-1000 litre dudh de paayengi, to desi ghee ek rupey kilo mai milne lagega

    2. Lassi to itni sasti ho jaayegi ki jagah-jagah lassi ke pyaao lagne lagenge.

    3. Hum samajhdaar kabutar aur baaz bana denge jo chota mota samaan dukaano se gharo tak pohcha denge.

    4. Hum lattu vaali chipkaaliya bana denge jis se machar uske aas-paas ghumne lagenge aur vo unko ek-ek karke khaa jaayegi

  4. Samudar pe sheher

    1. Aagey chalkar hum samudaro par sheher basa lenge

    2. To un shehro mai log shaam ko ghumaayi karne nhi shaam ke terne ke liye niklenge

    3. Bache terte hue gilli danda aur cricket khelenge

    4. Hum samdudar pe patri bana denge aur uspe relgaadiyan chalayenge

    5. Log ghar se chatri lekar niklenge aur niche kholkar, uspe baithke office jayenge

    6. Log samudar par nalka lagaayenge.

  5. Computer chips se jaanwaro aur pedho ko kalakaar mai badlna

    1. Sholay film mai gabbar kutta banega to dharmendar asli mai usko bolega kutte mai tera khoon pee jaaongoa

    2. Chuha apni premika ke liye gaana likhega aur is bil mai kya rakha hai, tera he naam likha rakha hai

    3. Jaanvaro ke raja sher mai aur falo ke raja aam mai rap battle hogi

    4. Sher gaayega, mai khukaar hu, deewar hu, tujhe khaane vaalo ka karta shikaar hu

    5. To aam reply karega, mai meetha hu, mai peela hu, jungle mai tu to hai ek mai das hazaar hu

    6. Raag darbaari seb aayenge, madhumakhiyaan honey chodke honey singh ke gaane banayengi.

  6. Aadhe machini jaanwar aur insaan

    1. Aagey chal kar aadhey asli aur aadhey machini jaanwar aur insaan hone lagenge jinko cyborgs bolenge

    2. To Petrol pump pe ghoda petrol dalwa rha hoga

    3. Pet shop pe cng vaale kutte milenge

    4. Chil kaue rocket booster laga ke chaand pe ghosle bana rhe honge

  7. Fair labor practice products

    1. Ye dekhiye madam nayi chunni aayi, isko bana ne waali labor ki salary hai 20,000 rs mahina, nayi bhaiya ye to kam hai mujhe voh chunni dikhayo jiske labor ki salary kam se kam 50,000rs mahina ho aur company ki taraf se ek flat aur ek gaadi mili ho

    2. Inaasn 5000 hazar ke cheeni ke katte ko uthane ke 50,000 rs lene lagega

    3. Gaaye dal makhani aur garlic naan khaakar dudh dengi. 


Comments

Popular posts from this blog

Avtaars (Story of modern Gods) Chapter - 7

Avtaars (Story of modern Gods) Chapter - 1

Avtaars (Story of modern Gods) Chapter - 2