Posts

Showing posts from March, 2024

Kitna acha hota agar...

  Ladaaiyan na hoti, dangey na hote, yudh na hote, mahayudh na hote Agar koi gareeb na hota Har koi khush hota Kisi ko koi beemaari na lagti Bhai bhai se property ke liye na jhagadta Humein kabhi gussa na aata Kisi ko bhi ektarfa pyar na hota Pyar jab bhi hota to dono taraf se hota Accident na hote Kabhi koi suicide na karta Kabhi koi chori, muder, rape na karta Jailen saari khaali padi hoti Saare log ache kalaakar hote Kahin bhi jaao to naye aur badiya chutkule sunaai dete  Badiya badiya bht saare gaane aa rhe hote Log apni marzi se andhe, behre ya aplaang hote aur jab marzi aaye fir se normal ho jaate Mobile phone dekhne se humaari aankhein kharaab na hoti Humein paisa kamane ke liye kaam na karna padta Hum bas apne manoranjan ke liye kaam karte Rajneeti hoti he nhi, koi kisi ko vote na deta Hum gusse ko pehchan paate aur usey use kar paate Hum kabhi kisi se jalte nahi Hum kabhi kisi ko nafrat na karte Humaare mann mai kabhi ghamand aur ehankaar na aata Humaari nazre kabhi k...

Sab cheezein jeevit hoti to kya hota...

  Bijli ke khambe ek dum dhith ho jaate hai… kyuki unko pata hai ki unko hatane mai saari bijli ki taarein hatani padegi to unko lagta hai humara koi kuch nhi bigaad sakta to vo badtameez ho jaate hai… taar pe baithe kabutaron ko ched rhe hote hai…  Oye kabutar ja ja ja salman khan ki chithi de aa.. To kabutar jaate jaate uspe beat kar deta hai..  To khamba kehta hai is se kuch nhi hoga abhi baarish aa jayegi to isko saaf kar degi…  Kabutar kehta hai teri akkad to mai todta hu..  Voh baadal se baat karta hai.. Kehta ye khambe pe baarish na karna… bada badtameez ho gaya hai ye khamba..  Baadal bolta hai ki bhai kabutar mai is lafde mai nhi padunga aur fir merko baarish se baat karni padegi ki tu mat giriyo khambe pe aur aakaash se aur hawa se bhi baat karni padegi…………………………….1 Two wheelaro ka indian idol chal rha hoga usmein judge honge ek bullet, ek activa aur ek cycle…  To pehle ek electric scooti aayegi aur chup chaap khadi ho jayegi Ek tractor aayeg...

Future pe jokes

  Future mai aise kapde aane vaale hai jinse bijli paida hogi Aisa hua to shopping kaise hogi, bhaiya voh 15volt vaala kurta dikhaana..dukaandaar ne kurta dikhaya..ye dekhiye bhaisaab naya kurta aaya hai 25 volt ka 2000 mh vaala…aap vahin pe tester nikaal ke check kar rhe hai…ae bhaiya ismein to current he nhi aa rha.. Dost aapas mai baat kaise karenge yaar teri jacket kitne volt ki hai, dost bola 10 volt ki..to dost kehta bas 20 volt ki to meri baniyaan hai… Gaane kaise banenge…chod do aanchal nahi to jhatka lagega.. Khatre bhi bhad jayenge ..jaise kisi ke maatam gaye..aapke pitaji kaise guzre..kuch nahi bhaisaab raat ko pyjama pehnke soye the usmein shortcircuit ho gaya vahi mar gaye. Future mai genetic engineering badhne vaali hai, usmei kya hota hai ki jo DNA yaani basic cheez hoti hai jisse hum bante hai..to log usmei thode fer badal karke dekhte hai ki kya hota hai…to jaise aalu ki paidavaar badhaane ke liye uske dna mai thoda fer badal kar diya to aalu badiya ugne lagey..y...

विष्णु ने कैसे सब कुछ बनाया

  विष्णु क्या है? वह अनंत ज्ञान, कौशल और संसाधन हैं जो सब कुछ बना सकते हैं, बनाए रख सकते हैं और नष्ट कर सकते हैं। अब तक हमने जो कुछ भी सोचा है हमने अब तक जो कुछ भी महसूस किया है, छुआ है, सुना है, देखा है, चखा है और भविष्य में जो भी हम करेंगे । विष्णु ने कौन सी चीजें बनाईं? उन्होंने अनंत संख्या में सुनहरे अंडे बनाए जिन्हें "हिरण्यगर्भ" भी कहा जाता है। प्रत्येक सुनहरे अंडे में ब्रह्मांड के लिए संसाधन होते हैं। कुछ ब्रह्मांडों में एक पृथ्वी है, कुछ में दो पृथ्वियाँ हैं, कुछ में तीन पृथ्वियाँ हैं और इसी तरह अनंत संख्या में। इनमें से कुछ पृथ्वियों के पास एक सूर्य है, कुछ के पास अनेक सूर्य हैं और कुछ के पास कोई सूर्य नहीं है। इनमें से कुछ पृथ्वियों के पास एक चंद्रमा है, कुछ के पास कई चंद्रमा हैं। इनमें से कुछ ब्रह्मांडों में कोई ग्रह नहीं है, कुछ में एकाधिक ग्रह हैं। कुछ के पास कोई तारा नहीं है, कुछ के पास अनेक तारे हैं। कुछ के पास कोई आकाशगंगा नहीं है, कुछ के पास एकाधिक आकाशगंगाएँ हैं। उन्होंने एक ब्रह्मा की रचना की और उन्हें एक-एक करके 100 ब्रह्मांड बनाने के लिए 100 सुनहरे अंडे द...