Kitna acha hota agar...

 

  1. Ladaaiyan na hoti, dangey na hote, yudh na hote, mahayudh na hote

  2. Agar koi gareeb na hota

  3. Har koi khush hota

  4. Kisi ko koi beemaari na lagti

  5. Bhai bhai se property ke liye na jhagadta

  6. Humein kabhi gussa na aata

  7. Kisi ko bhi ektarfa pyar na hota

  8. Pyar jab bhi hota to dono taraf se hota

  9. Accident na hote

  10. Kabhi koi suicide na karta

  11. Kabhi koi chori, muder, rape na karta

  12. Jailen saari khaali padi hoti

  13. Saare log ache kalaakar hote

  14. Kahin bhi jaao to naye aur badiya chutkule sunaai dete 

  15. Badiya badiya bht saare gaane aa rhe hote

  16. Log apni marzi se andhe, behre ya aplaang hote aur jab marzi aaye fir se normal ho jaate

  17. Mobile phone dekhne se humaari aankhein kharaab na hoti

  18. Humein paisa kamane ke liye kaam na karna padta

  19. Hum bas apne manoranjan ke liye kaam karte

  20. Rajneeti hoti he nhi, koi kisi ko vote na deta

  21. Hum gusse ko pehchan paate aur usey use kar paate

  22. Hum kabhi kisi se jalte nahi

  23. Hum kabhi kisi ko nafrat na karte

  24. Humaare mann mai kabhi ghamand aur ehankaar na aata

  25. Humaari nazre kabhi kamzor na hoti

  26. Humein chashma kabhi bhi Isliye nhi pehen na padta kyuki humaari nazre kamzor hai

  27. Humaari nadiyaan kabhi maili na hoti

  28. Bijli kabhi na jaati

  29. Sabhi log ek dusro ke tyohaaro mai sharikh hote

  30. Hathiyaar sirf khelo ke liye bante

  31. Kabhi koi jaanwar humpe humlaa na kartaa

  32. Jaanwaron pe hum kabhi experiment na karte

  33. Maas khaane ke liye humein jaanwaro ko maarna na padta.. Hum maas ugaa paate

  34. Humaare saare kaam robot kar lete

  35. Sabhi log apni marzi se marte aur apni marzi se he chahe to usi sharir mai vaapis aa jaate ya naye shareer mai janm lete

  36. Hum kisi bhi yaad ko mita paate aur kisi bhi yaad ko vaapis laa paate

  37. Hum sab ek dusro se sirf khelo mai ladte

  38. Hum kabhi bachon ko number kam aane ke liye naa daat te

  39. Hum chahe to motey ho jaate, chahe to patle ho jaate, chahe to budhe ho jaate, chahe to bachche ban jaate

  40. Chuhe aur keedey kisi ke ghar mai ya dukaano mai na aatey, vo sab bahar rehte

  41. Train, busey, aur flightein kabhi late na hoti

  42. Madhumakhiyaan insaano ko dank na maarti

  43. Bhukamp na aate, tsunaamiya na aati, baadh na aati, sukhaa na padta, mitti vaali aandhiyaan na aati

  44. Rangbhed na hota, jaatiyon mai uch neech na hoti, 

  45. mahilao ko God mai he na maaraa jaataa

  46. Itihaas mai bhi kisi desh ne kisi aur ke upar raaj na kara hota

  47. Hitler ne jews ko na maaraa hota

  48. Logon ne isaa masi ko naa maara hota

  49. Dropadi ka cheer haran na hota

  50. Asur na hote

  51. Hum kisi kitaab ko chute aur kitaab humein yaad ho jaati


Comments

Popular posts from this blog

Story of a School without a Building Chapter -10

Avtaars (Story of modern Gods) Chapter - 7

Avtaars (Story of modern Gods) Chapter - 1