Kitna Acha Hai Ki....

 

  1. Sadak pe koi accident ho jaata to saare log usko uthaane ke liye chale jaate hai

  2. Bachon ko naani teri morni aur lakdi ki katti sunaate hai

  3. Desh solar energy, wind energy mai invest kar rhe hai

  4. Jagah paani ke pyaao aur nalke laggey hai

  5. Adhiktar log kaam karke roti khaate hai

  6. Sadhu sant hai, aur log unki izzat karte hai

  7. Humaare yahan prajatantr hai

  8. Hum dheere dheere vikasit desh ban rhe hai

  9. Humaare pass apni baat rakhne ke liye internet, youtube aur social media hai

  10. Humein taaza sabjiyaan aur fal khaane ko milte hai

  11. Maa baap puri koshish karte hai apne bachon ko shiksha pradan karne ki

  12. Hum bade buzargo ke per chute hai

  13. Haath jod kar namaskaar karte hai

  14. Alag alag dharm ke log aapas mai meljol se kaam karte hai

  15. Jagah jagah bhandare aur langar lagte hai

  16. Humari mrityu ki aayu badh rhi hai, hum bohot saari beemariyo ka ilaaj dhundh paaye hai

  17. Ambulance ke jaane ke liye log apni gaadiyan side mai kar dete hai

  18. Humein golgappe, dahi balle, momos, burger. Chowmin, dosa, chole bature, paav bhajji jaise bhojan khaane ko milte hai

  19. Log ek dusre ko dhyaan karna, yoga karna sikhaate hai

  20. Humaare jawan humaari raksha karte hai aur baadh, bhukamp, tsunaami aane par humaari jitni ho sake utni madad karte hai

  21. Humaare kisaan humaare liye khaane ka utpaad karte hai

  22. Humaare vakil aur judges kanun ki dekh rekh karte hai

  23. Humaare pass police hai jo humaari raksha karti hai aur roz mara ki zindagi sahi chalane mai madad karti hai

  24. Humaari traffic police traffic ko kam karti hai

  25. Municipality ke log roz safai karte hai aur kuda uthate hai

  26. Hum kude ko recycle karte hai

  27. Hum gaayo ko chaara dete hai

  28. kutto ko khaana dete hai

  29. kabutaro aur kao ko daana daalte hai

  30. Cheetiyon ko ann dete hai

  31. Humne milkar corona virus jaisi mahamaari ko haraya

  32. Itni tension hone ke baad bhi nuclear war nahi kar rhe hai

  33. Itne saare log youtube pe alag alag vishyon ki knowledge dete hai

  34. Chat gpt aur iske jaise aur chat bot se baat karke aur achi jaankaari paa sakte hai

  35. Hum video games khel sakte hai

  36. Hum log bachon ke saath khelte hai

  37. Humaare schoolon mai achi cheezein sikhayi jaati hai

  38. Padosi aapas mai pyar mohabbat se rehte hai aur ek dusre ke sukh dukh mai shareek hote hai

  39. Jagah jagah kirtan aur satsang hote rehte hai

  40. Baarish hoti hai

  41. Dhup nikalti hai

  42. Sardiyan hoti hai

  43. Ganga nadi ki pooja hoti hai

  44. Ghumne vaali jagaho pe hotel aur taxiyan mil jaati hai

  45. Jagah jagah phone se payment hone lagi hai

  46. Jagah jagah ATM’s available hai

  47. Log daan pun karte hai

  48. Itni saari NGO’s aur log acha kaam kar rhe hai aur duniya ki madad kar rhe hai

  49. Itne saare schoolon mai bachon ko shiksha ke saath saath khaana bhi milta hai

  50. Anaath bache sadko pe rehne ki bajaye anaathalyo mai reh sakte hai

  51. Log sadak haadso mai ghayal hue gaaye, kutto aur bandaro ka ilaaj karte hai

  52. Log indicator ya haath dekar gaadi ya scooter modte hai

  53. Log films banate hai

  54. Kavitaayein likhte hai

  55. Gaane likhte hai

  56. Chutkule likhte hai

  57. Kahaniyaan likhte hai

  58. Paintings karte hai

  59. Photography karte hai

  60. Hum olympics aayojit karte hai jahan hum itne saare deshon ke khilaadiyo ko dekh paate hai aur unhe medalo se samaanit karte hai

  61. Itni saari music academy’s hai

  62. Itni saari khelo ki academy’s hai

  63. Itne saare log pedon ko lagane ka kaam karte hai

  64. Hum rain harvesting se baarish ke paani ko jama karte hai

  65. Hum mehmano ko bulaate hai

  66. Hum ek dusre ke dost bante hai

  67. Hum kanuno ko sakhti se nibhaate jis se crime control mai rehta hai

  68. Hum crimes ko kam karne ki koshish kar rhe hai

  69. Jagah jagah camerey lagne lagey hai

  70. Jagah jagah shulabh shochalya ban ne lagey hai

  71. Inti saari jagaho pe mobile network available jis se hum kisi se bhi kabhi bhi baat kar paate hai

  72. Hum whatsapp ke zariye ek dusre ko photos aur videos bhej paate hai

  73. Hum google map ke zariye apni manzilo tak pohoch paa rhe hai

  74. Hum zomato se khaana order kar paate hai

  75. Hum itni saari kitaabe aur baaki samaan ghar baithe mangwa paa rhe hai

  76. Hum dheere dheere dastawejo ko digitaly store kar pa rhe hai jis se cheezein dhundhne mai madad milti hai aur kaagaz ka bhi kam istemaal ho rha hai

  77. Video editing, content creation jaise kaamo se bhi log acha kama rhe hai

  78. Humaare paas din mai itna samay hota hai kaam karne ke liye

  79. Hum achi neend le paate hai

  80. Hum avikasit desho ki madad kar rhe hai

  81. Baarish mai mor naachte hai

  82. Sugandhit aur sundar fool hai

  83. Aushadhiye ped podhe hai

  84. Hum pedon ki pooja karte hai

  85. Hum suraj chandrama aur baaki graho ki pooja karte hai

  86. Hum mandir, gurdware, masjid aur churcho mai jaate hai

  87. Bhagwaan ne humein itni achi duniya di hai

  88. Maanav sabhyata itni jaldi itni progress kar rhi hai

  89. Hum sapne dekhte hai

  90. Hum junooni hai

  91. Hum khush hai

  92. Hum udaas hote hai

  93. Hum anand mai rehte hai



Comments

Popular posts from this blog

Avtaars (Story of modern Gods) Chapter - 7

Avtaars (Story of modern Gods) Chapter - 1

Avtaars (Story of modern Gods) Chapter - 2