Buddhe maa baap
Buddhe maa baap ki shakal ab dekhi nhi jaati, unke chehre se gum hoti urja ab sahi nhi jaati Buddhe maa baap ki shakal ab dekhi nhi jaati. mann karta hai ki unko khush rakhun par waqt ke aage meri koi chaal chal nhi pati, unhe meri fikar satayi jaati hai, par unki fikar kari nhi jaati, Buddhe maa baap ki shakal ab dekhi nhi jaati. unhe bas chaiye ki thoda waqt unke saath guzaar lun, par 24 ghante main ek min bhi nikali nhi jaati, Sach bolne ki seekh bachpan main he daal di thi, par ab unse jhooth bolte bhi sharam nhi aati. Buddhe maa baap ki shakal ab dekhi nhi jaati.